Apni kismat ke aage bebas hai Insaan,
bebas hai khuwab haqeeqat ke aage,
Koi ruki hui Dhadkan se puche,
kitna tadapta hai Dil Mohabbat ke aage.
Dil dard ke samander me doob gaya,
magar in ankho se roya na gaya,
Tha itna pyaar ess Dil me,
ki uske bagair kabar me bhi soya na gaya.

Log poochtey hen kyon surkh hen tumhari Aankhen,
Hans k keh deta hoon raat ko so na saka,
Lakh chahoon bhi magar yeh keh na sakoon,
Raat ko roney ki hasrat thi magar ro na saka.

kabhi woh samny Aa kr mujhe mila bhi nahi
me us se baat karu itna hosla bhi nahi.
wo mangta hai sitaron ki roshni.
mere pas to miti ka ek diya bhi nahi

Kabhi usne apna hame banaya hi nahi,
jootha hi sahi pyaar jataaya hi nahi.
kasoor apna hum maan bhi jaate,
par kya kare kasoor hamara hume btaya hi nahi.

Haqikat jaan lo juda hone se pahle,
Meri sun lo apni suna ne se pahle.
Ye soch lena bhulane se pahle,
Bahut royi hein ye aankhen muskurane se pahle.

Apni kismat ke aage bebas hai Insaan,
bebas hai khuwab haqeeqat ke aage,
Koi ruki hui Dhadkan se puche,
kitna tadapta hai Dil Mohabbat ke aage.
Dil dard ke samander me doob gaya,
magar in ankho se roya na gaya,
Tha itna pyaar ess Dil me,
ki uske bagair kabar me bhi soya na gaya.
Twitter Bird Gadget